itni fursat nahin us paikar-e-pindar ke pas
ban ke aae wo masiha kisi bimar ke pas
gar yunhi wahshaten raqsan rahin dalanon mein
koi saya na rahega kisi diwar ke pas
rose aankhon ko naya tarz-e-suKHan milta hai
rose jata hun kisi yar-e-tarah-dar ke pas
fasl-e-gham dekh ke nam-dida hua charKH-e-falak
shayad aankhen hi nahin aaina-bardar ke pas
meri diwangi KHwabon se baghal-gir hui
dasht aabaad kiya jab kisi gulzar ke pas
rang-o-nikhat ke KHazane bhi zamin-bos hue
chal ke KHud aane lagi KHushbu KHaridar ke pas
ai 'KHayal' apne iradon ko tawana rakkho
muflisi aati nahin hai kisi fankar ke pas

Ghazal
Itni fursat nahin us paikar-e-pindar ke pas
Rafique Khayal