itne unche martabe tak tujh ko pahunchaega kaun
main hua munkir to phir teri qasam khaega kaun
tere raste mein khaDi thin kaun si majburiyan
main samajh lunga magar duniya ko samjhaega kaun
mil rahi hai jab hamein ek rahat-e-awargi
lauT kar is anjuman se apne ghar jaega kaun
meri mazuli ki sunna chahte hain sab KHabar
sochta hun ja-nashin ban kar mera aaega kaun
chahta hun ek chingari main is chaqmaq se
lekin is patthar se aaKHir mujh ko Takraega kaun
nek logon ke liye maujud ho tum ai KHizar
main agar bhaTka to mujh ko rah par laega kaun
us ke wadon mein 'qatil' ek husn ek ranai hai
wo na hoga jab to us sa mujh ko bahalaega kaun
Ghazal
Itne unche martabe tak tujhko pahunchaega kaun
Qateel Shifai

