itne achchhe ho ki bas tauba bhali
tum to aise ho ki bas tauba bhali
rasm-e-ishq-e-ghair aur main ye bhi KHub
aisi kahte ho ki bas tauba bhali
meri mai-noshi pe saqi kah uTha
itni pite ho ki bas tauba bhali
waqt-e-aKHir aur ye qaul-e-wafa
dam wo dete ho ki bas tauba bhali
ghair ki baat apne upar le gae
aisi samjhe ho ki bas tauba bhali
main bhi aisa hun ki KHaliq ki panah
tum bhi aise ho ki bas tauba bhali
kahte hain 'muztar' wo mujh ko dekh kar
yun taDapte ho ki bas tauba bhali
Ghazal
Itne achchhe ho ki bas tauba bhali
Muztar Khairabadi