itna to zindagi mein kisi ke KHalal paDe
hansne se ho sukun na rone se kal paDe
jis tarah hans raha hun main pi pi ke garm ashk
yun dusra hanse to kaleja nikal paDe
ek tum ki tum ko fikr-e-nasheb-o-faraaz hai
ek hum ki chal paDe to bahar-haal chal paDe
saqi sabhi ko hai gham-e-tishna-labi magar
mai hai usi ki nam pe jis ke ubal paDe
muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigah
ji KHush to ho gaya magar aansu nikal paDe
Ghazal
Itna to zindagi mein kisi ke KHalal paDe
Kaifi Azmi