itna sannaTa hai basti mein ki Dar jaega
chand nikla bhi to chup-chap guzar jaega
kya KHabar thi ki hawa tez chalegi itni
sara sahra mere chehre pe bikhar jaega
hum kisi moD pe ruk jaenge chalte chalte
rasta TuTe hue pul pe Thahar jaega
baadbanon ne jo ehsan jataya us par
bich dariya mein wo kashti se utar jaega
chalte rahiye ki saf-e-ham-safaran lambi hai
jis ko raste mein Thaharna hai Thahar jaega
dar-o-diwar pe sadiyon ki kohr chhai hai
ghar mein suraj bhi jo aaya to ThiThar jaega
fan wo jugnu hai jo uDta hai hawa mein 'qaisar'
band kar loge jo muTThi mein to mar jaega
Ghazal
Itna sannaTa hai basti mein ki Dar jaega
Qaisar-ul-Jafri