اردو हिंदी
Itna be-nafa nahin us se bichhaDna mera | Shaahi Shayari
itna be-nafa nahin us se bichhaDna mera

Ghazal

Itna be-nafa nahin us se bichhaDna mera

Ashfaq Husain

;

itna be-nafa nahin us se bichhaDna mera
anjuman-saz hua hai dil-e-tanha mera

sar-nigun hone nahin deta ye ehsas mujhe
main to TuTa hun magar KHwab na TuTa mera

kaun hain wo jinhen aafaq ki wusat kam hai
ye samundar na ye dariya na ye sahra mera

ek hi lamha-e-maujud mein maujud hun main
aur ek lamhe ka hona hai na hona mera

dil mein sau tir taraazu hue tab ja ke khula
is qadar sahl na tha jaan se guzarna mera

kaise tarsil-e-suKHan ki koi surat nikle
ye zaban meri nahin hai na ye lahja mera

main abhi sair-e-jahan-bini mein gum hun 'ashfaq'
aasman dekh raha hai abhi rasta mera