itna batla mujhe harjai hun main yar ki tu
main har ek shaKHs se rakhta hun sarokar ki tu
kam-sabaati meri har dam hai muKHatib ba-habab
dekhen to pahle hum us bahr se hon par ki tu
na-tawani meri gulshan mein ye hi bahse hai
dekhen ai nikhat-e-gul hum hain subuk-bar ki tu
dosti kar ke jo dushman hua tu 'jurat' ka
bewafa wo hai phir ai shoKH sitamgar ki tu
Ghazal
Itna batla mujhe harjai hun main yar ki tu
Jurat Qalandar Bakhsh