islah-e-ahl-e-hosh ka yara nahin hamein
is qaum par KHuda ne utara nahin hamein
DhunDen kahan sahar ko tumhein ai ghazal-e-shab
ab nam bhi to yaad tumhaara nahin hamein
ab kya sanwar sakenge hum aawargan-e-ishq
sadiyon ke jabr ne to sanwara nahin hamein
hathon mein hai hamare gareban-e-kaenat
lekin abhi junun ka ishaara nahin hamein
DhunDo koi nai rawish-e-shairi 'zafar'
uslub dusron ka gawara nahin hamein

Ghazal
Islah-e-ahl-e-hosh ka yara nahin hamein
Sirajuddin Zafar