اردو हिंदी
Isi zamin pe isi aasman mein rahna hai | Shaahi Shayari
isi zamin pe isi aasman mein rahna hai

Ghazal

Isi zamin pe isi aasman mein rahna hai

Anees Ashfaq

;

isi zamin pe isi aasman mein rahna hai
tera asir hun tere jahan mein rahna hai

main ek pal teri duniya mein kya qayam karun
ki umr bhar to mujhe raftagan mein rahna hai

mein jaanta hun bahut saKHt dhup hai lekin
safar mein hun to saf-e-rah-rawan mein rahna hai

utar gai hai to sine se mat nikal use
ki mere KHun ko teri sinan mein rahna hai

na mere hath se chhuTna hai mere neze ko
na tere tir ko teri kaman mein rahna hai

khule rahen jo khule hain qafas ke darwaze
wo kab chhuTenge jinhen qaid-e-jaan mein rahna hai

to phir ye zindagi-e-jawedan ka milna kya
jo har nafs nafs-e-raegan mein rahna hai