isi liye bhi nae safar se bandhe hue hain
ki hum parinde to baal-o-par se bandhe hue hain
tumhein hi sahra sambhaalne ki paDi hui hai
nikal ke ghar se bhi hum to ghar se bandhe hue hain
kisi ne din mein tamam chhanw utar li hai
ye barg o gul to yunhi shajar se bandhe hue hain
yahan bhala kaun apni marzi se ji raha hai
sabhi ishaare teri nazar se bandhe hue hain
sagan-e-kucha-e-dilbaran ki misal hum to
riha bhi ho kar kisi ke dar se bandhe hue hain
zamin KHud hum ko khinchti phir rahi hai 'gauhar'
ajib aalam mein rahguzar se bandhe hue hain
Ghazal
Isi liye bhi nae safar se bandhe hue hain
Afzal Gauhar Rao