isi ka nam hai diwana banna aur bana dena
buton ke samne ja kar KHuda ka wasta dena
nigah-e-shauq ka baDh kar naqab-e-ruKH uTha dena
tere jalwe ka barham ho ke ek bijli gira dena
KHudai hi KHuda ki KHak se insan bana dena
tumhaara khel hai insan ko miTTi mein mila dena
main apni dastan-e-dard-e-dil ro ro ke kahta hun
jahan se chahna tum sunte sunte muskura dena
mazaq-e-shikwa achchha hai magar ek shart hi ai dil
yahan jo yaad kar lena wahan ja kar bhula dena
wafa be-shak jafaon ka badal hai lekin ai zalim
bahut mushkil hai mujh se rone wale ko hansa dena
zaban ko shikwa-sanji ka maza hi baat kahne do
main tum se ye nahin kahta ki tum dad-e-wafa dena
yahi mani hain ai 'shaukat' buland-o-past ke shayad
nigahon par chaDhana aur nazron se gira dena
Ghazal
Isi ka nam hai diwana banna aur bana dena
Shaukat Thanvi