اردو हिंदी
Isi jahaz ke sahra mein Dub jaane ki | Shaahi Shayari
isi jahaz ke sahra mein Dub jaane ki

Ghazal

Isi jahaz ke sahra mein Dub jaane ki

Faizan Hashmi

;

isi jahaz ke sahra mein Dub jaane ki
KHabar mili thi mujhe KHwab mein KHazane ki

bahut se dida o nadida KHwab samne the
ek aisi samt thi karwaT mere sirhane ki

main is jagah pe jo ek din palaT ke aaya to
koi bhi chiz nahin thi mere zamane ki

har ek kaam suhulat se hota rahta tha
koi KHalish nahin hoti thi kar dikhane ki

main ek KHayal ka KHema lagae baiTha tha
bahut jagah thi mere pas sar chhupane ki

wo kya KHushi thi jo dil mein bahaal rahti thi
magar wajh nahin banti thi muskurane ki

ek aise waqt mein wo donon ho gae aabaad
jahan kisi ko ijazat nahin thi aane ki

ajib dasht tha jo mujh se dad chahta tha
qarib phaile hue dur ke zamane ki

tamam shahr mein puri tarah KHamoshi thi
mujhe paDi thi koi git gungunane ki