ishq to sari umr ka ek pesha nikla
hum ne kya socha tha yaro kya nikla
dil ka patthar pighle to kya niklega
patthar ka dil pighla to dariya nikla
bhag raha hai dariya bhi sagar ki taraf
pyas bujhane wala KHud pyasa nikla
subh sawere thi kirnon ki bazm saji
sham ko ghar se tanha ek saya nikla
itni umr mein apne mani kuchh na mile
dil mein surat aankhon mein sapna nikla
dil ke safar mein lahu ka dariya par kiya
us ke aage sahra mein sahra nikla
le ke faqiri aas lagai duniya se
'baqar' pyare tu bhi sag-e-duniya nikla
Ghazal
Ishq to sari umr ka ek pesha nikla
Sajjad Baqar Rizvi