اردو हिंदी
Ishq to mushkil hai ai dil kaun kahta sahl hai | Shaahi Shayari
ishq to mushkil hai ai dil kaun kahta sahl hai

Ghazal

Ishq to mushkil hai ai dil kaun kahta sahl hai

Bahadur Shah Zafar

;

ishq to mushkil hai ai dil kaun kahta sahl hai
lek nadani se apni tu ne samjha sahl hai

gar khule dil ki girah tujh se to hum jaanen tujhe
ai saba ghunche ka uqda khol dena sahl hai

hamdamo dil ke lagane mein kaho lagta hai kya
par chhuDana is ka mushkil hai lagana sahl hai

garche mushkil hai bahut mera ilaj-e-dard-e-dil
par jo tu chahe to ai rashk-e-masiha sahl hai

hai bahut dushwar marna ye suna karte the hum
par judai mein teri hum ne jo dekha sahl hai

shama ne jal kar jalaya bazm mein parwane ko
bin jale apne jalana kya kisi ka sahl hai

ishq ka rasta sarasar hai dam-e-shamshir par
bul-hawas is rah mein rakhna qadam kya sahl hai

ai 'zafar' kuchh ho sake to fikr kar uqba ka tu
kar na duniya ka taraddud kar-e-duniya sahl hai