ishq se paida nawa-e-zindagi mein zer-o-bam
ishq se miTTi ki taswiron mein soz-e-dam-ba-dam
aadmi ke reshe reshe mein sama jata hai ishq
shaKH-e-gul mein jis tarah baad-e-sahar-gahi ka nam
apne raaziq ko na pahchane to muhtaj-e-muluk
aur pahchane to hain tere gada dara o jam
dil ki aazadi shahanshahi shikam saman-e-maut
faisla tera tere hathon mein hai dil ya shikam
ai musalman apne dil se puchh mulla se na puchh
ho gaya allah ke bandon se kyun KHali haram
Ghazal
Ishq se paida nawa-e-zindagi mein zer-o-bam
Allama Iqbal