اردو हिंदी
Ishq saman bhi hai be-sar-o-samani bhi | Shaahi Shayari
ishq saman bhi hai be-sar-o-samani bhi

Ghazal

Ishq saman bhi hai be-sar-o-samani bhi

Saud Usmani

;

ishq saman bhi hai be-sar-o-samani bhi
usi darwesh ke qadmon mein hai sultani bhi

hum bhi waise na rahe dasht bhi waisa na raha
umr ke sath hi Dhalne lagi virani bhi

wo jo barbaad hue the tere hathon wahi log
dam-ba-KHud dekh rahe hain teri hairani bhi

aaKHir ek roz utarni hai libaadon ki tarah
tan-e-malbus! ye pahni hui uryani bhi

ye jo main itni sahulat se tujhe chahta hun
dost ek umr mein milti hai ye aasani bhi