ishq ne chuTki si li phir aa ke meri jaan ke bich
aag si kuchh lag gai hai sina-e-bariyan ke bich
ahl-e-maani juz na bujhega koi is ramz ko
hum ne paya hai KHuda ko surat-e-insan ke bich
is sabab main jang shane se karun hun bar bar
dil hua hai gum mera us kakul-e-pechan ke bich
zulf o chashm o KHal o KHat chaaron hain dushman din ke
haq rakkhe iman salamat aise kufristan ke bich
naqd-e-dil khoya hai hum ne jaan kar is rah mein
fil-haqiqat aashiqon ko sud hai nuqsan ke bich
gar adu meri badi karta hai KHas o aam mein
main use ruswa karunga bandh kar diwan ke bich
raat din jari hai aalam mein mera faiz-e-suKHan
go ki hun muhtaj par 'hatim' hun hindostan ke bich
Ghazal
Ishq ne chuTki si li phir aa ke meri jaan ke bich
Shaikh Zahuruddin Hatim