اردو हिंदी
Ishq miyan is aag mein mera zahir hi chamka dena | Shaahi Shayari
ishq miyan is aag mein mera zahir hi chamka dena

Ghazal

Ishq miyan is aag mein mera zahir hi chamka dena

Irfan Siddiqi

;

ishq miyan is aag mein mera zahir hi chamka dena
mere badan ki miTTi ko zara kundan-rang bana dena

aao tumhaari nazr karen hum ek charagh hikayat ka
jab tak jago raushan rakhna nind aae to bujha dena

bis ikkis baras pichhe hamein kab tak milte rahna hai
dekho, ab ki bar milo to dil ki baat bata dena

sine ke virane mein ye KHushbu ek karamat hai
warna itna sahal nahin tha rakh mein phul khila dena

dil ki zamin tak raushniyan thin, chehre the, hariyali thi
ab to jahan bhi sahil pana kashti ko Thahra dena

maula, phir mere sahra se bin barse baadal lauT gae
KHair, shikayat koi nahin hai agle baras barsa dena

KHwaja KHizr suno hum kab se is basti mein bhaTakte hain
tum ko agar taklif na ho to jangal tak pahuncha dena