ishq mein KHud se mohabbat nahin ki ja sakti
par kisi ko ye nasihat nahin ki ja sakti
kunjiyan KHana-e-ham-saya ki rakhte kyun ho
apne jab ghar ki hifazat nahin ki ja sakti
kuchh to mushkil hai bahut kar-e-mohabbat aur kuchh
yar logon se mashaqqat nahin ki ja sakti
tair-e-yaad ko kam tha shajar-e-dil warna
be-sabab tark-e-sukunat nahin ki ja sakti
ek safar mein koi do bar nahin luT sakta
ab dobara teri chahat nahin ki ja sakti
koi ho bhi to zara chahne wala tera
rah chalton se raqabat nahin ki ja sakti
aasman par bhi jahan log jhagaDte hon 'jamal'
us zamin ke liye hijrat nahin ki ja sakti
Ghazal
Ishq mein KHud se mohabbat nahin ki ja sakti
Jamal Ehsani