اردو हिंदी
Ishq mein awwal fana darkar hai | Shaahi Shayari
ishq mein awwal fana darkar hai

Ghazal

Ishq mein awwal fana darkar hai

Siraj Aurangabadi

;

ishq mein awwal fana darkar hai
dil sin tark-e-ma-siwa darkar hai

tark-e-maqsad ain maqsad hai use
jis kun dil ka muddaa darkar hai

dil ba-tang aaya hai ab lazim hai aah
ghuncha-e-gul kun saba darkar hai

zaKHmi-e-gham kyun na khinche aah-e-dard
halq-e-bismil kun sada darkar hai

wasf zulf-e-yar ka aasan nahin
rishta-e-fikr-e-rasa darkar hai

hai lab-e-saqi mein chashma KHizr ka
gar tujhe aab-e-baqa darkar hai

rang mera kan-e-zar hai ai sanam
mujh sin aa mil gir tala darkar hai

gosha-e-abru dikha ai qibla-ru
mujh kun mehrab-e-dua darkar hai

dil raqibon ka jalane ai 'siraj'
aatishin-ru dilruba darkar hai