ishq ki sharah-e-muKHtasar ke liye
sil gae honT umr bhar ke liye
zindagi dard-e-dil se katra kar
dard-e-sar ban gai bashar ke liye
dil azal se hai shola pairahan
shama jalti hai raat bhar ke liye
us ne dil toD kar kiya irshad
ab tasalli hai umr bhar ke liye
abr-e-rahmat hai ishq ka daman
aatish-e-razm-e-KHair-o-shar ke liye
hum bhi ku-e-butan ko jate hain
ai saba qasd hai kidhar ke liye
wo tajalli hai muntazir ab tak
kisi shaista nazar ke liye
KHun-e-dil sarf kar raha hun 'rawish'
KHub se naqsh-e-KHub-tar ke liye
Ghazal
Ishq ki sharah-e-muKHtasar ke liye
Ravish Siddiqi