ishq ki dastaras mein kuchh bhi nahin
jaan-e-man! mere bas mein kuchh bhi nahin
ek teri yaad ka tasalsul hai
aur tar-e-nafas mein kuchh bhi nahin
raazdar-e-bahaar-e-rafta na ho
yun to is KHar-o-KHas mein kuchh bhi nahin
parwarish pa raha hai naKHl-e-ziyan
nafa kya is baras mein kuchh bhi nahin
aaKHir-e-kar haarne ke siwa
iKHtiyar-e-hawas mein kuchh bhi nahin
ishq par iKHtiyar hai kis ka
faeda pesh-o-pas mein kuchh bhi nahin
kis liye chal paDa hun mein 'sajid'
jab sada-e-jaras mein kuchh bhi nahin
Ghazal
Ishq ki dastaras mein kuchh bhi nahin
Ghulam Husain Sajid