ishq ke waste hai dil ki aaD
koi dekhe ye til ki oT pahaD
sar-kashi wajh-e-iftiKHar nahin
qad mein shamshad se baDa hai taD
satyanas ho gaya dil ka
ishq ne KHub ki ukhaD-pachhaD
wo KHuda jaane ghar mein hain ki nahin
kuchh khula aur kuchh hai band kiwaD
hasraten baad-e-marg jaen kahan
dafn kar mujh ko aur inhen bhi gaD
na-tawan dil uThae kya gham-e-ishq
ek taraf rai ek samt pahaD
meri taqdir ka mere dil ka
un ke hathon mein hai banaw bigaD
KHak meri bhi us mein shamil hai
apne daman se gard-e-rah na jhaD
mal-o-zar de diya hasinon ko
rah gaya ghar mein sirf kaTh-kabaD
kash uTh jae parda-e-hasti
mere aur us ke bich mein hai ye aaD
shola-e-gham se dil ka haal ye hai
jaise pahlu mein jal raha ho bhaD
chaar din wo banaw rakhte hain
aur rakhte hain aaTh roz bigaD
wo nahin to meri nigah mein hai
bagh viran aur shahr ujaD
raKHt-e-hasti ke ho chuke TukDe
ai junun ab mere kafan ko phaD
'nuh' tufan-e-hijr-e-ulfat mein
koh-e-judi ki DhunDte hain aaD
Ghazal
Ishq ke waste hai dil ki aaD
Nooh Narvi