ishq ke hathon ye sari aalam-arai hui
ishq ke hathon qayamat bhi hai ab aai hui
allah allah kya hua anjam-kar-e-arzu
tauba tauba kis qadar hangama-arai hui
kya hai mera hasil-e-gul-chini-e-bagh-e-jamal
aarzu ki chand kaliyan wo bhi murjhai hui
chhoD bhi ye silsila o na-murad-e-intizar
maut baiThi hai tere baalin ye uktai hui
shahr-e-mayusi mein ek chhoTi si ummid-e-visal
ajnabi ki shakl mein phirti hai ghabrai hui
kar liya hai aqd urdu-e-mualla se 'hafiz'
qila-e-dehli se aai thi ye Thukrai hui
Ghazal
Ishq ke hathon ye sari aalam-arai hui
Hafeez Jalandhari