ishq ke aqlim mein chaal-o-chalan kuchh aur hai
hai nirala Dhang wan ka aur ajaib taur hai
KHun-e-dil piti hain wan aur khati hain laKHt-e-jigar
lutf ke badle uThane ko jafa-o-jaur hai
un ki galiyon mein nahin hota guzar hi aql ka
hai junun ka band-o-bast aur aashiqi ka daur hai
zindagi aur marg shadi aur gham aur nek-o-bad
ek san hain sab wahan lekin maqam-e-ghaur hai
la-makan hai waste un ki maqam-e-bud-o-bash
go ba-zahir kahne ko kalkatta aur lahore hai
aah-o-nala ki chala karti hain wan tir-o-sinan
jo ki jata hai wahan rahta wahin wo Thor hai
ibtida mein jite ji mar jaana paDta hai wahan
par jo mar jata hai wan jita wahin fil-faur hai
hun main jaan-o-dil se 'asim' shah-e-KHadim par fida
ishq ke kishwar mein jis ki shan-o-shaukat aur hai
Ghazal
Ishq ke aqlim mein chaal-o-chalan kuchh aur hai
Shah Aasim

