اردو हिंदी
Ishq ke aasar hain phir ghash mujhe aaya dekho | Shaahi Shayari
ishq ke aasar hain phir ghash mujhe aaya dekho

Ghazal

Ishq ke aasar hain phir ghash mujhe aaya dekho

Bedam Shah Warsi

;

ishq ke aasar hain phir ghash mujhe aaya dekho
phir koi rauzan-e-diwar se jhanka dekho

un ke milne ki tamanna mein miTa jata hun
nai duniya hai mere shauq ki duniya dekho

tur par hi nahin nazzara-e-jaanan mauquf
dekhna ho to wo maujud hai har ja dekho

asar-e-nala-e-ashiq nahin dekha tum ne
tham lo dil ko sambhal baiTho ab achchha dekho

taur majnun ki nigahon ke batate hain hamein
isi laila mein hai ek dusri laila dekho

partaw-e-mahr se mamur hai zarra zarra
lahren leta hai har ek qatre mein dariya dekho

dur ho jaen jo aankhon se hijabaat-e-dui
phir to dil hi mein do-alam ka tamasha dekho

sab mein DhunDa unhen aur ki to na ki dil mein talash
nazar-e-shauq kahan khai hai dhoka dekho

nahin thamte nahin thamte mere aansu 'bedam'
raaz-e-dil un pe hua jata hai ifsha dekho