ishq karta hun, taqaza nahin kar sakta main
mera daman hai so mela nahin kar sakta main
itni fursat hai ki ek duniya bana sakta hun
par koi hai jise apna nahin kar sakta main
kitne logon ne in aaankhon se shifa pai hai
ek bimar ko achchha nahin kar sakta main
ghar se nikla to ye mumkin hai bhaTak hi jaun
yar ab apna to pichha nahin kar sakta main
raat bhar shor machata hai kisi KHauf ke taht
apne ham-zad pe parcha nahin kar sakta main
aaKHiri sans hai kuchh mujh pe karam ho sayyaad
dekh ab aur tamasha nahin kar sakta main
bhik bhi chahiye us dast-e-saKHi se mujh ko
aur daman bhi kushada nahin kar sakta main
Ghazal
Ishq karta hun, taqaza nahin kar sakta main
Iliyas Babar Aawan