ishq kab apne maqasid ka nigahban na hua
kaun sa gham hai jo aaKHir gham-e-jaanan na hua
lakh chaha magar afsos ki aansu na thame
zabt-e-gham mujh se ba-qadr-e-gham pinhan na hua
teri ishrat hai ki gardun ke dabae na dabi
mera gham hai ki hansi mein bhi numayan na hua
gham-e-duniya gham-e-uqba gham-e-hasti gham-e-maut
koi gham bhi to harif-e-gham-e-jaanan na hua
zarre zarre se ye elan-e-pareshani hai
mutmain KHak wo hoga jo pareshan na hua
jis ke daman se hai wabasta mera zauq-e-hayat
wo bhi kafir mere mear ka insan na hua
main raha garche har ehsas pe masruf-e-sujud
koi sajda bhi teri shan ke shayan na hua
barf-zar-zor-o-daulat ka har afsurda zamir
zamzamon se mere kab shoala-ba-daman na hua
barq nakaam mah-o-mehr kawakib mayus
na hua mere nasheman mein charaghan na hua
mere taKHliq-e-adab mein hai qasida madum
mujh se 'ehsan' kisi waqt ye isyan na hua
Ghazal
Ishq kab apne maqasid ka nigahban na hua
Ehsan Danish