ishq jab manzil-e-aKHir se guzarta hoga
ek bhi ashk na aankhon se Tapakta hoga
hum to jab jaanen ki jab waqt hamara badle
log kahte hain badalta hai badalta hoga
hoga ai dost yaqinan wo mere dil ki tarah
jo diya ruKH pe hawaon ke bhi jalta hoga
aaj Thahraya hai KHud jis ne mujhe qabil-e-dar
kal wahi meri wafaon ko tarasta hoga
saghar-e-chashm mein mai-kash use bharte honge
rang jab aap ke chehre se chhalakta hoga
jo nazar uThti hai ban jati hai ek mauj-e-KHumar
dast-e-saqi mein koi jam chhalakta hoga
haal 'aKHgar' ke taDapne ka suna jab to kaha
us ki fitrat hi taDapna hai taDapta hoga

Ghazal
Ishq jab manzil-e-aKHir se guzarta hoga
Haneef akhgar