ishq hai dariya-e-atish tair kar jaane ka nam
husn hai sehn-e-chaman mein phul barsane ka nam
raat-bhar sham-e-hazin is fikr mein jalti rahi
kyun buland aaKHir hai is duniya mein parwane ka na
laila-o-shirin ki kya kuchh kahiye ab is gul ki baat
aaj hai uncha chaman mein jis ke afsane ka nam
tur-e-dil ki KHair ho ab tab-e-nazzara kahan
husn ka jalwa tumhaare barq gir jaane ka nam
tu chaman hai aur teri raftar hai mauj-e-nasim
KHamushi ghuncha hansi hai phul khil jaane ka nam
kahkashan hai mang teri ghaza-e-ruKH chandni
qad zamin par mah-o-anjum ke utar aane ka nam
jab kabhi shanon pe zulf-e-ambarin lahra gai
bas yahi hai nikhat-e-gul ke mahak jaane ka nam
Ghazal
Ishq hai dariya-e-atish tair kar jaane ka nam
Sayyad Zahiruddin Zaheer