ishq ab jawedan nahin milta
ye farishta yahan nahin malta
aap lakhon mein ek hain sahab
mere jaisa kahan nahin malta
aap ne likh to di kitaben sau
koi misra rawan nahin malta
rah ke pattharon se yari kar
rose to karwan nahin milta
tum guman mein ho to raho kuchh rose
sabhi ko ye saman nahin milta
KHak apni jabin pe mal ke chal
bin zamin aasman nahin milta

Ghazal
Ishq ab jawedan nahin milta
Musavvir Firozpuri