ishq-abaad faqiron ki ada rakhte hain
aur kya is ke siwa ahl-e-ana rakhte hain
hum tahi-dast kuchh aise bhi tahi-dast nahin
kuchh nahin rakhte magar pas-e-wafa rakhte hain
zindagi bhar ki kamai ye talluq hi to hai
kuchh bache ya na bache is ko bacha rakhte hain
sher mein phuTte hain apni zaban ke chhaale
nutq rakhte hain magar sab se juda rakhte hain
hum nahin sahib-e-takrim to hairat kaisi
sar pe dastar na paikar pe aba rakhte hain
shahr aawaz ki jhilmil se damak uTThenge
shab-e-KHamosh ki ruKH sham-e-nawa rakhte hain
ek teri yaad gale aise paDi hai ki 'najib'
aaj ka kaam bhi hum kal pe uTha rakhte hain

Ghazal
Ishq-abaad faqiron ki ada rakhte hain
Najeeb Ahmad