اردو हिंदी
Ishaaraton ki wo sharhen wo tajziya bhi gaya | Shaahi Shayari
ishaaraton ki wo sharhen wo tajziya bhi gaya

Ghazal

Ishaaraton ki wo sharhen wo tajziya bhi gaya

Anwar Masood

;

ishaaraton ki wo sharhen wo tajziya bhi gaya
jo gird-e-matn bana tha wo hashiya bhi gaya

wo dil-ruba se jo sapne the le uDin ninden
dhanak-nagar se wo dhundla sa rabta bhi gaya

ajib lutf tha nadaniyon ke aalam mein
samajh mein aain to baaton ka wo maza bhi gaya

hamein bhi banne sanwarne ka dhyan rahta tha
wo ek shaKHs ki tha ek aaina bhi, gaya

baDa sukun mila aaj us ke milne se
chalo ye dil se tawaqqoa ka waswasa bhi gaya

gulon ko dekh ke ab rakh yaad aati hai
KHayal ka wo suhana talazima bhi gaya

musafirat pe main teshe ke sang nikla tha
jidhar gaya hun mere sath rasta bhi gaya

hamein to ek nazar nashr kar gai 'anwar'
hamare hath se dil ka musawwada bhi gaya