is zamane mein na ho kyunkar hamara dil udas
dekh kar ahwal-e-alam uDte jate hain hawas
bas raha hai bu se teri jaan-e-man aisa dimagh
be-dimagh hum ko rakhe hai bagh mein phulon ki bas
jis taraf jawe tu ai KHurshid-ru saye ki tarah
har qadam main bhi hun tere sath sath aur pas pas
tishnagi se chah ki teri nahin sairab dil
hai masal mashhur mustasqi ki nain bujhti hai pyas
haq se milna gerwe kapDon upar mauquf nain
dil ke tain rango faqiri ye hai aur sab hai libas
jun jun tu saghar piye hai ghair ki majlis ke bich
tun tun ai bad-mast dil mein mere aata hai hiras
kunah zat-e-haq ko kya pawe koi 'hatim' kabhu
sab ke aajiz hain yahan wahm-o-guman fahm o qayas

Ghazal
Is zamane mein na ho kyunkar hamara dil udas
Shaikh Zahuruddin Hatim