is ummid pe roz charagh jalate hain
aane wale barson baad bhi aate hain
hum ne jis raste par us ko chhoDa hai
phul abhi tak us par khilte jate hain
din mein kirnen aankh-micholi khelti hain
raat gae kuchh jugnu milne jate hain
dekhte dekhte ek ghar ke rahne wale
apne apne KHanon mein baT jate hain
dekho to lagta hai jaise dekha tha
socho to phir nam nahin yaad aate hain
kaisi achchhi baat hai 'zehra' tera nam
bachche apne bachchon ko batlate hain
Ghazal
Is ummid pe roz charagh jalate hain
Zehra Nigaah