is tilsim-e-roz-o-shab se to kabhi niklo zara
kam se kam wijdan ke sahra hi mein ghumo zara
nam kitne hi likhe hain dil ki ek mehrab par
hoga in mein hi tumhaara nam bhi DhunDo zara
bad-gumani ki yahi ghairon ko kafi hai saza
muskura kar phir usi din ki tarah dekho zara
waqt ke patthar ke niche ek daba chashma hun main
aao pyaso mil ke ye patthar uThao to zara
husn ek dariya hai sahra bhi hain us ki rah mein
kal kahan hoga ye dariya ye bhi to socho zara
do kalon ke bich mein ek aaj hun uljha hua
meri is kam-fursati ke karb ko samjho zara
wusat-e-kaun-o-makan bhi ab hui jati hai tang
aur bhi kuchh ai junun walo abhi simTo zara
thak gae hoge bahut pur-pech thi chahat ki rah
aao meri god mein sar rakh ke susta lo zara
ek miTte lafz ke bhi kaam aa jao kabhi
sang-e-dil par miTne se pahle mujhe likh lo zara
hai taaqub mein 'naimi' saya sa ek roz o shab
dost hi shayad ho koi muD ke to dekho zara
Ghazal
Is tilsim-e-roz-o-shab se to kabhi niklo zara
Abdul Hafiz Naeemi