اردو हिंदी
Is soch mein hi marhala-e-shab guzar gaya | Shaahi Shayari
is soch mein hi marhala-e-shab guzar gaya

Ghazal

Is soch mein hi marhala-e-shab guzar gaya

Shahram Sarmadi

;

is soch mein hi marhala-e-shab guzar gaya
dar wa kiya to kis liye saya bikhar gaya

ta-der apne sath raha main zamane baad
be-nam sa sukut tha jab raat ghar gaya

rakhta tha hukm maut ka jo rah-e-wasl mein
wo lamha-e-firaq mere Dar se mar gaya

sab raunaqen ba-zid thin jahan ghar banane ko
wo qarya-e-wajud KHalaon se bhar gaya

main bandh hi raha tha ghazal mein use abhi
wo zina-e-KHayal se niche utar gaya