is shoKH-e-ram-shiar se kahta salam-e-shauq
qasid yahi hai aaj hamara payam-e-shauq
taid-e-ghaib tale-e-farKHanda ki madad
wo ishwa-sanj aaj hua ham-kalam-e-shauq
qasid kiya hai ahd jo ifa-e-ahd ka
subh-umid-e-wasl hui apni sham-e-shauq
kya muttasil ho yar talawwun hai taba mein
ye der-pa kahan hai tumhaara qayam-e-shauq
madd-e-nazar jo hai wo hamein aashkar ho
ai jazb-e-dil-nawaz madar-ul-maham-e-shauq
majzub-e-ishtiyaq hain mast-e-mai-jamal
roz-e-nuKHust se hai ye sharb-e-mudam-e-shauq
be-rah ja raha hai tujhe kuchh KHabar nahin
kis pher mein paDa hai bata harza-gam-e-ishq
is kaif-e-zauq-o-shauq mein taswir-e-yar hai
farruKH-sarosh ne ye diya hai payam-e-shauq
taufiq ka hai faiz nigah-e-dalil-e-rah
hum ko mila hai ghaib se kas-ul-kiram-e-shauq
'saqi' wo dekh shahid-e-mai-nosh aa gaya
labrez hai ye shaeq-e-nazzara jam-e-shauq
Ghazal
Is shoKH-e-ram-shiar se kahta salam-e-shauq
Pandit Jawahar Nath Saqi