is shahr-e-tishnagi mein kahin aab ke siwa
kuchh bhi nazar na aaya mujhe KHwab ke siwa
phir kis ke kaam aaegi meri shanawari
dariya mein kuchh na hoga jo girdab ke siwa
is raushni mein jis se munawwar hai kaenat
sab kuchh dikhai deta hai mahtab ke siwa
bagh-e-jahan ki sair mein ab kya bataun main
kya kya mujhe mila gul-e-shadab ke siwa
ye aankhen ye dimagh ye zaKHmon ka ghar badan
sab mahw-e-KHwab hain dil-e-be-tab ke siwa
ahl-e-junun ko is ki KHabar der se hui
ek ghar bhi hoga dasht-e-fusun-tab ke siwa

Ghazal
Is shahr-e-tishnagi mein kahin aab ke siwa
Obaidullah Siddiqui