is shahr-e-sang-dil ko jala dena chahiye
phir us ki KHak ko bhi uDa dena chahiye
milti nahin panah hamein jis zamin par
ek hashr us zamin pe uTha dena chahiye
had se guzar gai hai yahan rasm-e-qaheri
is dahr ko ab is ki saza dena chahiye
ek tez rad jaisi sada har makan mein
logon ko un ke ghar mein Dara dena chahiye
gum ho chale ho tum to bahut KHud mein ai 'munir'
duniya ko kuchh to apna pata dena chahiye
Ghazal
Is shahr-e-sang-dil ko jala dena chahiye
Muneer Niyazi