اردو हिंदी
Is shahr-e-KHuftgan mein koi to azan de | Shaahi Shayari
is shahr-e-KHuftgan mein koi to azan de

Ghazal

Is shahr-e-KHuftgan mein koi to azan de

Himayat Ali Shayar

;

is shahr-e-KHuftgan mein koi to azan de
aisa na ho zamin ka jawab aasman de

paDhna hai to nawishta-e-bainassutur paDh
tahrir-e-be-huruf ke mani pe dhyan de

suraj to kya bujhega magar ai hawa-e-mahr
tapti zamin pe abr ki chadar hi tan de

ab dhup se gurez karoge to ek din
mumkin hai saya bhi na koi saeban de

main sochta hun is liye shayad main zinda hun
mumkin hai ye guman haqiqat ka gyan de

main sach to bolta hun magar ai KHuda-e-harf
tu jis mein sochta hai mujhe wo zaban de

suraj ke gird ghum raha hun zamin ke sath
is gardish-e-mudam se mujh ko aman de

main tangi-e-makan se na ho jaun tang-dil
apni tarah mujhe bhi koi la-makan de

meri gawahi dene lagi meri shaeri
yarab mere suKHan ko wo husn-e-bayan de