is se aage to bas la-makan rah gaya 
ye safar bhi mera raegan rah gaya 
ho gae apne jismon se bhi be-niyaz 
aur phir bhi koi darmiyan rah gaya 
rakh poron se jhaDti gai umr ki 
sans ki naliyon mein dhuan rah gaya 
ab to rasta batane pe mamur hun 
be-hadaf tir tha be-kaman rah gaya 
jab palaT hi chale ho ai dida-waro 
mujh ko bhi dekhna main kahan rah gaya 
miT gaya hun kisi aur ki qabr mein 
mera katba kahin be-nishan rah gaya
        Ghazal
Is se aage to bas la-makan rah gaya
Anjum Saleemi

