اردو हिंदी
Is safar mein nim-jaan main bhi nahin tu bhi nahin | Shaahi Shayari
is safar mein nim-jaan main bhi nahin tu bhi nahin

Ghazal

Is safar mein nim-jaan main bhi nahin tu bhi nahin

Ashar Najmi

;

is safar mein nim-jaan main bhi nahin tu bhi nahin
aur zer-e-saeban main bhi nahin tu bhi nahin

zahr mein Dubi hui parchhaiyon ka raqs hai
KHud se wabasta yahan main bhi nahin tu bhi nahin

na-tamami ke sharar mein roz o shab jalte rahe
sach to ye hai be-zaban main bhi nahin tu bhi nahin

zard lafzon ke dhundalke sham ki aankhon mein hain
garche zeb-e-dastan main bhi nahin tu bhi nahin

na-tawan jismon pe kyun hai gardishon ka mor-nach
shab-gazida aasman main bhi nahin tu bhi nahin

be-asar ho jae jis se dil ka zaKHm-e-atishin
marham-e-wahm-o-guman main bhi nahin tu bhi nahin

shab ki gahri KHamushi bhi gosh-bar-awaz hai
aahaTon ka karwan main bhi nahin tu bhi nahin

ehtiyaton ki guzargahen to pichhe rah gain
ab sada-e-mehrban main bhi nahin tu bhi nahin