اردو हिंदी
Is raaz ke baatin tak pahuncha hi nahin koi | Shaahi Shayari
is raaz ke baatin tak pahuncha hi nahin koi

Ghazal

Is raaz ke baatin tak pahuncha hi nahin koi

Farrukh Jafari

;

is raaz ke baatin tak pahuncha hi nahin koi
kyun lauT ke ghar apne aaya hi nahin koi

ab shahr ki KHamoshi virane se milti hai
aawaz lagai to bola hi nahin koi

har roz dikhai den sab log wahin lekin
jab DhunDne niklen to milta hi nahin koi

hone se ki jin ke tha basti ka bharam qaem
atraf mein shahron ke sahra hi nahin koi

thak-haar ke aa baiThe us peD-tale aaKHir
jis peD-tale 'farruKH' saya hi nahin koi