is raat kisi aur qalam-rau mein kahin tha
tum aae to main apne badan hi mein nahin tha
kya bazm thi us bazm mein kaun aae hue the
mahtab bhi suraj bhi sitara bhi wahin tha
kuchh nind se bojhal thin tere shahr ki aankhen
kuchh meri kahani mein bhi wo rabt nahin tha
kahte hain ki ruk si gai raftar-e-zamana
jab sair-e-samawat mein ek KHak-nashin tha
ai kash zara der na tum rah badalte
do chaar qadam aur mera shahr-e-hazin tha
aise to nahin auj pe aaya tha sitamgar
wo KHud bhi hasin us ka sitara bhi hasin tha
main KHal-e-ruKH-e-yar pe de deta samarqand
lekin wo ilaqa bhi mere pas nahin tha

Ghazal
Is raat kisi aur qalam-rau mein kahin tha
Tariq Naeem