is qadar us ki mudaraat hai virane mein
koi to baat hai aaKHir tere diwane mein
faiz-e-saqi se jo mahrum hain mai-KHane mein
jaane kya hum se KHata ho gai anjaane mein
waqt ki baat hai ab us ke taraste hain lab
jitni hum chhoD diya karte the paimane mein
main ne mana ki adu bhi tera shaidai hai
farq hota hai fida hone mein mar jaane mein
dilrubai ke jise hum ne sikhae andaz
jaan-e-mahfil hai wahi ghair ke kashane mein
har ada dil ke liye dashna-o-KHanjar hai magar
aur hi baat hai zalim tere sharmane mein
na tasalli na tashaffi na koi pyar ki baat
tujh ko kya milta hai kafir hamein taDpane mein
saqiya mai jo nahin baqi to talchhaT hi sahi
Dal de nam-e-KHuda thoDi si paimane mein
meri jaanib se tere dil mein ghubar aa hi gaya
aaKHirash aa hi gaya ghair ke bhaDkane mein
ishq ki aag siwa kis mein hai ye kaun kahe
shama ke sina-e-sozan mein ki parwane mein
'KHar' hai jalwa-e-asnam se dil KHuld-e-barin
ya pari-zadon ka majma hai pari-KHane mein
Ghazal
Is qadar uski mudaraat hai virane mein
Khar Dehlavi