اردو हिंदी
Is qadar hasti-e-mauhum se sharmata hun | Shaahi Shayari
is qadar hasti-e-mauhum se sharmata hun

Ghazal

Is qadar hasti-e-mauhum se sharmata hun

Meer Ali Ausat Rashk

;

is qadar hasti-e-mauhum se sharmata hun
zikr jine ka jo aata hai to mar jata hun

maut ne kitne bakheDon se chhuDaya mujh ko
na taDapta hun na rota hun na chillata hun

kaam mujh se nahin hota koi juz jurm-o-gunah
mehnat-e-katib-e-amal se sharmata hun

ek KHat yar ko likhta hun jo betabi mein
dusra katib-e-amal se likhwata hun

ek hamdard nahin aalam-e-tanhai mein
mujh ko samjhata hai dil dil ko main samjhata hun