is ko pahli bar KHat likkha to dil dhaDka bahut
kya jawab aaega kaise aaega Dar tha bahut
jaan de denge agar duniya ne roka rasta
aur koi hal na nikla hum ne to socha bahut
ab samajh lete hain miThe lafz ki kaDwahaTen
ho gaya hai zindagi ka tajraba thoDa bahut
soch lo pahle hamare hath mein phir hath do
ishq walon ke liye hain aag ke dariya bahut
wo thi aangan mein paDosi ke main ghar ki chhat pe tha
duriyon ne aaj bhi donon ko taDpaya bahut
is se pahle to kabhi ehsas hota hi na tha
tujh se mil kar sochte hain ro liye tanha bahut
aankh hoti to nazar aa jate chhaale panw ke
sach ko kya dekhega apna shahr hai andha bahut
Ghazal
Isko pahli bar KHat likkha to dil dhaDka bahut
Manzar Bhopali