is ki surat ko dekh kar bhule
hae hum bhule sar-ba-sar bhule
munh ka miTha tha peT ka khoTa
jhuTi miThi si baat par bhule
dekho is meri yaad ko aur wo
mujh pe karta nahin nazar bhule
us ke ushshaq ho gae wahshi
sab ye KHana-KHarab ghar bhule
jab faramosh o yaad bhi khele
ek idhar hum tum ek udhar bhule
hum faramosh ki faramoshi
aur tum yaad umr bhar bhule
bhule-bhaTke se yan tum aa nikle
nashshe mein rah kuchh magar bhule
naKHl-e-ah ek chhuT na phulega
is ko phalta nahin samar bhule
'azfari' zor kha gae dhoka
is ke zahir pe tum aphar bhule
Ghazal
Isko surat ko dekh kar bhule
Mirza Azfari