is ki qudrat ki did karta hun
roz nau-roz id karta hun
mera ahwal-e-faqr mat puchho
zohd misl-e-farid karta hun
roz bazar-e-mulk-e-hasti mein
jins-e-isyan KHarid karta hun
fath karne ko qalb-e-dil ka hisar
tegh-e-himmat kalid karta hun
bas-ki main tishna-e-shahadat hun
dil ko har-dam shahid karta hun
na main sunni na shia ne kafir
sufi hun sab ka wid karta hun
shaiKH tu go ki pir-zada hai
rah tujhe main murid karta hun
apne ehsan-e-KHalq se 'hatim'
aadmi ko abid karta hun
Ghazal
Isko qudrat ki did karta hun
Shaikh Zahuruddin Hatim